Tuesday, May 31, 2022

Azadi ke Laday - the great Freedom Struggle across the #globe

 

Main Mara Hua Azad Hoon…

Jo log leader hone ka khsamata rakhte hain woh kabhi bher bakri ke tara bhir mein samil nahin hote. Uoh alag sochte hain… sabmein yeah dum nahi rahate… 

jayse aab itne saare bandae LinkedIn se, Youtube se aur pata nahin kahan kahan se DSA par par ke FAANG mein join karne ke liye bher bakri jaise kud pare, mere khayal se usme se sayedi koiy leader banga… uoh sab aaj 10 lakh, phir kuch din baad 20 lakh kamake, aur uska photo sabhi jayga mein de de kar umar gujar lega, 

lekin jo leader banne ka sapna dekh raha hain uoh sayed ghar ka kune mein baith baith ke kuch alag-y soch raha hain… aur uoh banda safal nahin bhi ho sakta hain lekin uska sochne ka tarika yeah sare bher bakrio se alag jarur hoga. 

Aur hamara teacher ka responsibility uoh sab bande ko dhund dhund ko nikalna hain jisme ye alag sochne ka power hain. Lekin hum ye education system bana ke rakha hain ki class mein 40 baccha ek jaisa hona chayie. Sabi ka hand writing accha hona chaiye, sabhi ko “Twinkle Twinkle Little Star” aana chaiye, class X mein sab ko pata hona chayie ki cow ki stomach mein char khop rahte hain. ..aur jaise teacher ko bher bakri ka team banane ke liye paisa diya jata hain... 

agar aap “Main Azad Hoon” movie dekha hain to usme Azad ka role to sayad aapko yaad raha hoga, lekin aap sayed Sha**naji ki role bhul gaye ho. Lekin ek baat hum-e yaad rakhna chaiye ki uoh Azad kabhi na banta agar unko Shabanaji dhund ke na nikalni hoti. Aur isi mein ek teacher ya coach ka mahatya chupa hain... 


Lekin yeah to sayed honewala nahin hain… Kyunki hum aur hamara saath jo saare college students tab Azad ko dekhke inspire hue the, wo generation abhi kayi sare earthly processing chalne ke baad aab thoda acchha khasa posting mein hain, accha khasa kamay kar rahein hain. Aur wo sab abhi sochta hain, Azad thodai na leader tha, kuch kamate nahin the, hum to aapne baccha ko din mein paanch crore kamanewala Muk*shji jaise leader banayenge. Aur isi ka chakkar mein uoh sare parents sab ko puchenge iske liye kya karna parega… 

Aur aise mein kabhi hamara great WhitH*t Jr. ka salesman jadu ka jhappi le ke aa jayega aur ekdin phone karke uo parents ko puchega,”Kya aapne aapko ladka ko din mein 5 crore kamanewala leader banane ke bare mein sochte ho?” Aur ye sunke wo parents sare ghum ghumke nachna suru karega aur bolega, “haan mujhe aisey banana hain”. 


Tab aapna Whit*at Jr. ka salesgirl bohut aadar karke bolegi,

”Hum aapko isme saath denge.. Aap sirf itna sa down payment kar do aur ye responsibility hamara upor chor do.” 

Aur uske baad wo parents apna baccha ko ek Macbook kharid dega, aur usko Whit*e Jr. mein dakhil kar dega aur uska admission ka proof jitne social media hain usme dalega… 

Bagalwale Sharmaji, jitne sare relatives hain, us balak ka teachers sab log bolne lagega, 

“ Haan beta tu aab leader-y banega”. Aur kuch aise bhi log hoga jo sayed govt employee hoga uoh sab uoh parents ka Face*ok wall mein, #gillbates, #steve -sir  aur hamara latest icon Musk-sir ka interview ka video share karega aur congratulate karega aur bolega ,”aab dekho aapka ladka kayse leader banega”. 

Udhar wo chota sa balak Whit*at Jr. ka madam ke pass aapna HTML sikhne lagega aur sochega sayed yeahi hain leader banne ka pahela kadam. 

Udhar Azad swarg mein soch mein par jayega ki kya mai isi tara leader banane ke liye mara tha kya aur bilkul depression mein chala jayega. 

Aur kiyunki yeah swarg ka baat hain, aur BabaRamdev aur aise banda abhi tak jinda hain, to hamara jo mare hue Psychiatrist, Psychoanalyst, Psychotherapist aur aaise sare ke sare learned doctor Yamdev ko bolega, 

“Bhagawan, aapko pata nahin hain yeah jo Azad hain woh jab jinda tha tabhi thoda sa pagal jaise tha. Aur marne ke baad ye pura pagal ho gaya. Isko ilaz karna jaruri hain.” 

Yamraj agar sochega yeah sare bidwan doctors hain, yeah agar bol rahe to isme jarur kuch hain, aur Azad ko treatment shuru ho giya, usko nid ki goli diya giya, anti depressant aur malum nahin yeah bidwan doctos kaise treat karega. Azad upor rone lagta hain lekin akela kuch kar nahin sakta. 

To ek din chupa chupa ke aapna Sha*na Ajmiji ki dream mein aake aapna yeah halat bolega. 

Sh*anji dream mein to bol di, "thik hain mein dekhti hoon"

Lekin woh bhi abhi iss log mein hain to kuch nahin kar sakta. 

Lekin dream jab chutega, unki pas ek business plan sayed aaya aur unhone Jav*d ji ke pass jake boli, "

dekho ji, woh railway platform se ek banda dari duri leke delhi mein baith gaya aur sare ke sare youth unkoy follow karne lag gaye. To hum sochte hain ki kuch hamari bhi to responsibility hain ye soye huye youth ko jagane ke liye. To maine jo Azad ko bohut din pahle dhund kar nikali thi, woh to mar chuka hain. Unke liye main abhi kuch nahin kar sakti. Aur woh Azad ko jis generation dekha tha woh sab budda ho chuka hain.. Un logo mein abhi kuch karne ka dam nahin hain... to aap aise koro.  mara hua Azad ke liye do gaana likho, ek jhinchak wala aur ek rulanewala... 


Aur woh do gaana likhke Jav*d Ramg*pal V*rma aur malum nahin kaun hain iss mahan jagat mein,, unko pas gaya aur dusra ek movie ka background ban gaya, 

“Main Mara Hua Azad hoon...”

Aur usme producer ne bohut investment kiya… 

TV, nesapaper mein ad aane laga… sare intellectual log sochne laga aab kuch hoga… aur idhar Kolkata mein apne jitne sare intellectual bengalis, jadavpur aur presidency college ki sare history, political science, african studies wala department ka students naachne laga. 

Ye dekh kar producer saab nein ek five star hotel mein ek bara sa party throw kiya jisme A*arna sen, Ka*ana sen aise (mere knowledge thoda kam hain,,, mujhe malum nahin aur kaun kaun hay aise log), aur aapna Sar*kh dada, Sa*an bhai bare bare BMW mein charke aaya aur bilkul crore rupiyaa ka party ban gaya… uska sare coverage live randiTV-mein dikhaya giya . Saga*ika G**sh live commentry kiya. 


Us event ka sponsorer hua tha $soft. 

To ye mara hua Azad kaysa hain woh kisiko pata nahin tha lekin jo logo ne woh pahla wala Azad ko dekha tha uoh sab aab corporate ka strategy banate hain. To unko dimag mein ye tha ki woh thoda socialist type ka banda tha. 

To isliye $soft-ko iss event ka sponsorer hote hue dekhne ke bad ye sare corporate strategists kuch hayran ho gaye. 

Lekin ek bohut-y strong message corporate world mein chaa gaye ki $soft has changed. 

Aur iske liye sabhi log aapna sa**ya-dada(hindi wala sathya giya nahin) ko badhay dena shuru kar di. 

JNU ka Sociology department-ka ek bohut bidwan professor ne $soft se paysa leke ek short film banaya, 

“If #gillbates was Chandragupta Maurya… 

Sat*a- Nadela a is King Ashok.” 

aur iss movie ko aapna India mein MBA course mein samil karne ke liye propose kiya.,, 

Kuch IIM nei ek din ka workshop program chalu kiya ,

”How to bring transformational change in your company” 

jisme woh short film dikhaya giya aur India ka bohut sare top level executives usme se gyan prapt kiya. 

Aisey mahal mein ek IITIIM wala executive aapna family-ka whatsapp group mein woh short film ka video share karke comment kiya ki isliye main agar kisi company ko itna respect karta hoon to woh hai $soft.

Aur unhone bola agar hamara jo jitne sare baniya companies ka malik hain jaise ki ye aapna Muk*sh ji aur ayse sare bande agar Sath*a jaisa sochte hote to India ka ye haal na hota. 


Because $soft is a very generous employee-first company, they distributed unlimited family passes for this great event to all their best performers. Aur iye sunke uoh sare employee ka dur dur ka ristedar-ka jitne sare teenage ladkia the, uoh sab bohut khush ho gaye the.. 

Aise ek bohut-y sophisicated english speaking girl ne apna facebook wall pe Sunita Williams ki NASA ki spacesuite-mein ek picture dete hue kaha, 

“I don’t want to be in the group of losers… I have started taking Hindi tuition from Udemy so that if sallu-bhai speaks to me in Hindi, i will reply in Hindi."

Aur uoh post sare ke sare social website mein viral ban gaya... sab bolne lage, Nari Shakti ki jay ho…

Aur aise aur ek lady apni facebook mein post kia ki she has started keeping fast for the last seven days and aapni area ka Bhloa Baba ji ki upor roj shubha 1 litre milk chara rahe hain because she thinks sallu-bhai unki Lord Shiva hain aur agar sallu-bhai ka saath ek selfie lene ke chance mil gaya to unki life ka saare maksad pura ho jayegi… Aur ye post bhi viral ho gaya… 


Aisehi Mumbai ki aur ek bohut-y sophisticated english speaking lady aapna Olympian Chanuji ki photo deke ek facebook post kiya ki "Chanuji, aap jante nahin hai ki main aapki sabse bada fan hoon. Mujhe yeah malum nahin ki aap kaun sa sports mein medal jita hain Olympic mein aur uoh mein jainna bhi nahin chati, lekin jab aapki uoh Sallu ke saath tasbir maine dekha, to maine taiyar kar li, agar jindegi mein kuch banna hain to Chanuji jaise banungi, aur sallu ke saath ek tasbir utha ke main puri duniya ko dekha dungi ki main kisi se kam nahi. Unhone aur bhi likha, hamara Modijiko bahut badhay di. Bola ki sir, mein chote sei dekhne mein bohut sundari hoon. Sablog mujhe praise karte the mere sundarata ke liye. Isliye mein kabhi parai likhai ya khel kud mein dhyan dene ka jaruri nehi samjhe. Aur sirf yeai nahin hain, mere pitaji jo ki state govt ka ek beraucrat the, uoh bohut powerful the. Unhone sarbada yehi bolte the ki beti aadmi ko uski karm se jana jata hain nahi unki janam se. Aur maine is karm mein bohut dhanrashi kamane ke liye pratighyabadh hoon. Aur ynonhe ye sirf bolne ke liye bola nahi, karke dikhaya aur pata nahi unki salary kitni thi lekin unhone bohut dhanrashi kamaya. Aur unka yeah quality ke liye meri mummy unko hamari familiy-ka #gillbates bolte the. Aur meri mummy hamesha bolti thi ye quality le kar agar tumhara pitaji USA mein paida hote to #gillbates ko takkar denewala hota. Aur isliye mein confident thi ki meri saadi kisi accha khasa aadmi se huyi jayega. Aur bhagawan ne mujhe nirash nahi kiya, ek IIT-IIM paralikha Foreign Bank mein kaam karnewala bohut acchaa aadmi se mera saadi karwa di. Meri life bilkul set hain sir. Mein pura din TV serial dekhti hoon… Lekin man ka andar kuch karne ka sapna dekh raha tha… Lekin kya karun kuch samajh mein nahin aa raha tha. Jab Sunday Sunday mein subhe 10 baje meri patideb mujhe jagate the, tab meri andar ki bhagwan bhi kabhi kabhi jag uthti thi aur bolti thi, tum dekhne mein itne sundar ho… ye to tumhara sabse bara quality hain… lekin aur kuch kor… sabko dikha do… lekin maine kabhi sochai nahin ki meri ye English BA degree leke mein kya kar saku, Lekin jab ye Chanuji ka sallu-ji ke saath tasbir mera facebook ka wall mein post hua, mera andar aapna bhagwan jag utha aur bola dekh. Chanu-ne bhi kar liya. To tab se meri antaratma jag uthi aur mein aab sirf do pahar tin baje se serial dekhti hoon, subhe ka pura time aapna Sallu Dada ka secreatary ko paanch minute chorke phone lagati hoon aur agar ekbar Chanuji ki tara ek selfie utha li to iska pura credit aapki-hi hoga Modi sirji. Kiyunki aap the, isliye Chanuji nikli, aur Chanuji nikli isliye meri jiban ki marg khulne ka sapna maine dekhne lagi. Thank you Modiji...Unhone last mein kaha ki Modi sirji, aapne jo abhi education policy change karne ke liye soch rahe ho ye bohut jaroori hain. Main hamesha apna patideb ko kahte hain ki tum IITIIM parke pura jindagi mein jitna kamoge, usse kahi guna jyada paysa mere pitaji sirf BA pass karke ek sarkari naukri ki pahla 10 saal mein kama lia tha. Isliye sir main bolti hoon ye sare degree mein kuch nahi hota. Woh sab faltu hain. Aur isiliye sir hamara B*Ju’s jaisa eductaion company ka advertisement bhi koi ISRO ka bara scientist nahi deta hain, woh SRK jaise successful banda-y deta hain... 

Rising #bharat-ka sab hunhaar log, sab parents, sare ke sare college students, aspiring technocrats aur jo nao-jawan log hain, sab unka itne saara detailed analysis sunke ek LinkedIn poll kiya ki, hamara yeah naya ma'am ka tlent kayse utilise kiya ja sakta hai. To Govt. of India ka ek bohut bidwan beaurocrat- ne unko Modiji -ka Maan ki Baat ke liye ek topic choose karne ke liye kaha aur yeah bhi bola ki laag raha hain aapka knowledge hamara bohut saare bare bare political leader-se jyada hain, aur usme sayed Modiji bhi hain. 

To aap ek kaam koro, aap topic choose karke bahar do, lekin bolna keya hain, woh andar andar mujhe bhej do. Aur aisey to yeah radio Program hain, to andar keya ho raha hain, kisiko malum nahi chalega, to hum Modiji-ko aap-ka ye wala write-up parke sunane ke liye kahenge aur hum bolenge ki Modiji ne khud ye socha"

Scheme ban gaya.

To unhone likh kar diya.

Lekin aisey hain ki , koy global truth finder unka woh original write-up leak kar diya aur sabko pata chala ki kabhi kabhi thoda chori chupake bhi aadmi bohut accha kaam kar sakta hain aur sayed yeahi hain 

"Survival of the Fittest"

To main woh original write-up ka gist share kar raha hu.

"Bhaiyo aur bahano, hamara Bharat ka sabse bara problem hain - education policy. To hum socha - hum phir se purana-wala system chalu karenge jahan pe degree se jyada skill aur knowledge mein dhyaan denge.

Aisey hamar desh mein bohut saare #ratan - that is - #jewel hain - kisiko najar mein aataa nahi hain. Hamara teacher ka pahela responsibility hain un sab ratan ko dhund dhund ke nikalna aur unka naam saachmuch ratan kar dena

Aur ye bhi hum socha, Ratan tata -ji ka naam kuch alag karne ke liye bolenge- kiyunki saachmuch unko aisey koy quality nahin hain jisme unhone ye naam ka weight utha payenge.

Aap thoda aankhe khulke sochoge to pata chalega main kiun ye bol raha hu. Ratan Tata ji ka pitaji bare aadmi the. Unhone unko foreign bhaja, aur uski baad-y unhone kuch kiya.

Aur aab main hamara aapna ek ratan ke bare me bolunga ki aap sab sochoge - yaar saachmuch - without any foreign degree - without any support system - aisey ratan hamara yaan payda hua jinhone aisay visionary hain.

Woh ratan hain hamara - chara-uncle - that is Lalu.

Think about his vision.

Unhone aapna bare ladki ko Doctor banaya. Aur sirf banaya nahi. Kuch andar wala khel khel ke unko University topper bana diya. 

Lekin aapna ladka ko koy degree nahin diya. For example, ek hain aisey 7 pass.

Aab main unka vision ke ware mein bolunga - ki unhone aisa kiun kiya.

Medical parne ke baad bhi kuch nahi kiya- matlab unhone ye bolna chata hain ki - degree mein kuch khaas hain nahi - jitna bhi manipulate karke aap first second ban jao - kuch ukhad nahi paoge.

Aur unka woh 7th pass chota sa ladka ka mirchi ka tej dekho. sab kuch pata hain. Philosophy, science, morality, international politics, religion, modern hair style - matlab capsule of real knoeldge and wisdom.

Aur aisay hum bhi karne wala hu.

Degree ka kahani khatam.

Chara-ghotala uncle-ji ko hum jail mein ek #gurukul khulke teacher banane ka faysala kiya.

Aur uhaan se jo ratan niklega, bharat ka naam roushan karega.

Aur mera ek bengali chota dost hain. Unhone bola tha, sir Ratan-y rantan chene. Menining only a juhuri can identify a pure ratan

To hum aapna aisey aur ek Ratan ko loop mein rakhne ke bare mein soch rakha hu - woh hain hamara Soga ji.

Unhone agar aisey ratan ko paychana aur London mein aapna bahan ka museum main original ratan ko chura ke smuggle kar diya - to gajab ho jayega - sare duniya us original ratan ka light se enlightened ho jayega - aur matlab - aur ek modern #lordkrishna ka janam hum dekhenge.

Bilkul #winwin situation

Hum bhi baanch jayenge idhar ye ratan ka tej khane se

Aur udhar London ka hawa bhi garam ho jayega

winter mein unka electricity bill kam ho jayega"

Aisey vision on education policy modernization - matlab sab hil gaya.

Gajab ho gaya. 

ye sare viral ho gaya…

sab log belne laga - hum #viswaguru bankey rokenge - sabko dekha dengey. 

ye detailed analysis wala post India ka patriach society mein jo misconception pahle the ki housewife ko thoda kam aata hain, uoh bilkul hil gaya. Aur Itne inspiration wala post dekhke bahut sare sundari ladki bolne lagi hum bhi age barenge… 

aur sab log sochne laga aab koi hame rokh nahin sakta…


Idhar randi-tv ka ek Bengali journalist jo ki bachpan mein Ramkrishna Mission mein para tha, unhone Mara hua Azad mein Ramkrishna Dev ka chabi dekhne lage aur isliye unhone ek RKM ka monk ka interview bhi le liya aur us interview mein uh monk bola, hum bhi aisey soch raha hain ki ye Mara hua Azad-y na sayed Ramakrishna hain… Unhone explain kiya ki Ramkrishna ji bhi jab alive the to itna popular nahi hua, uoh ye duniya chorne ke bad-y popular hua aur bola yeah Azad bhi to aisey hain…Marne ke baad itna popular ho gaya… 


India ka sabhi TV channel mein program ane laga 

“Woh aa raha hain”

Sab mein khalbali machne lagi… 

Lekin kisiko pata nahin hain woh kaun hain… 

Mere Jijaji, jo ki ek doctor hain, unko ye sab TV dekhne ka samay nahi milta. Unki uhaan pe ek Bihar ki gaon ka Rickshaw puller the… Uoh ekdin Jijaji ko bola, 

"Sir, hame bancha lo. Woh kuch khatarnak aa raha hain… "

Bolne laga,"hum Modiji ko itna soch samajh ke, inko puchke , unko puchke vote diya tha aur Modiji ne aisa gaddari kar liya… Sir hume suna unhone hamara desh ka scientists ko bharak diya aur uoh sab scientists ne milke aisa ek khatarnak cheez banaya ki sab log bol raha hain ,

”Woh aa raha hain”.

Sir hum bal baccha wala aadmi hoon. Aapto ghar mein lock karke sote ho. Aapka dar kam hain… Meri bibi ne us din phone karke bola aapne kuch saal pahle ek movie dekha tha Jurassic kuch karke,,, Modijine sabko bharkake aise kuch bana diya… Sir uoh bohut khatarnak kuch hain. Aur maine suna Kolkata mein pahle uoh Jadavpur university mein girnewala hain. Sir, Jadavpur se hamara distance jyada nahin hain aur hum to open air mein sute hain… Woh aake hame kha lega… Hume bachaon sir. Agar iss bar baanch gaya to hum kabhi Modiji ko vote nahin denge…"

Aur pata nahin Jijaji unko kayse solace diya lekin woh banda kuch jaday ghabra gaya.

Isi prakar desh mein jab chal raha tha to soga-ji ne socha ki kyu na ham isko kam me lagaye aur Raga ka rebirth kar deta hain. 

To unhone congress party ka meeting bulaya.

lekin abhi sab chalu ho gaya to meeting mein koyi aaya nahin. 

Lekin Sogaji ne kaha,

"Hum congress ke liye nahin, Congree humke liye hain."

Aur ye bolke unhone decide kar li hum koi singlehandedly decision nahin lenge kiyunki hum democracy mein biswas rakhte hain.

Unhone aur bhi bola agar Congress mein agar sirf main akelay rahe jaoongi phir bhi mein sare ke sare decision vote karkey karungi. 

Ye sunke Raga ke aankho mein asu aa gaya aur woh bola ki,

"Mom isliye main aapko itna respect karta hoon."

Mahal thoda emotional ho gaya. Uske bad unhone aapna char log (khud, Raga, priya*k* aur V*draa) ki beach mein secret vote kya. 

V*draa kabhi Raga ki leadership mein biswas nahin kiya tha. Kiyunki unhone khudko ek self-made business icon ke rup mein dekhte hain. Aur uska bhi to reason hain. Lekin uoh openly ye kabhi bolne ka sahas nahin dekha paya unki sasuma ki dar se. Lekin usdin unko chance mil gaya kuch kar ke dikhane ka. Aur woh aapna vote Raga aur aapna bibi ka beach mein jo free space the usme dal diya.

To char voto mein se ek cancel ho gaya. 

Baki tin vote Raga ka mil gaya. Aur iss kaam ke liye raga ko chuna gaya.  

iss yojona ka naam rakha gaya RajivGa*hi Revolutionary Committee. 

Raga ne pura plan kar li keya karna hain aur dusra din India ka sare TV channel mein Ragaji ke saath bakra-ji ka ek friendly conversation ek ghanta ke liye dikhaya giya aur jis mein Raga ji explain kiya “Woh aa raha hain” ki matlab aur uska aapna Bharat mein parnewala asar ke ware mein. 

Sab log mein abhi dhire dhire dar hone laga… Ragaji ne 

“Woh aa raha hain” karke ek booklet banaya jisko sare language mein translate kiya gaya aur sabko free dena chalu ho gaya.

Idhar Modiji, Amitji, Yogiji soch mein par gaye ki hum jo Raga ko joker lagbhag banayi diya tha. uska phir se ye punarjanam kayse ho gaya. Raga ka popularity barne laga… Aur Modiji ka chinta barne laga.

Idhar UP mein chunao mahal the. Yogiji jahan pe ja raha hain sabhi log eki baat puch raha hain sir woh jo aa raha hain uoh bohut khatarnak hain kya… sir hame banchao. Ham unpod bal baccha wala aadmi hain… Ek aadmi manch mein uthke Yogiji ka paer pakar ke bola sir jab bhi uoh UP mein jab aayega usko enconunter karwa do… 

Desh mein jab ye haal hain, jab sab dik garam haoa chalne laga, to uska ye opportunity le ke hamara RandiTV ka Rubbish-sir ne ekdin delhi mein Parliament ke age raat 10 baje sirf underware pahanke haat uthake ghumte hoye “Woh aa raha hain” gaate gaate nachne laga aur ek overenthusiastic cameraman mein woh 30 minutes ka dance live RandiTV mein telecast kar diya. Aur woh us din ka sabse jyada popular program ban gaya. 

Agle din Dariwala Roy ne unko bulake bola,"dekho boss Woh jab aa raha hain to aane ke baad pahle Modiji aur Yogiji ko kha lega. Aur woh dono jab chala jayega to tumahara news koy nahin sunega. Toh tum aab news chorke raat mein woh aadha ghanta ka dance program mein samil ho jao… 

Aur yeah decision RandiTV ka fortune kuchi dino mein badal dala…

Tab Dariwala Roy ne socha unka ye brilliant decision ke liye kuch award milna jaruri hain aur unhone usi waqt aapna executive power laga ke iss kaam ke liye tin IIM ka banda as a concultant recruit karne ka soch liya. 

Aur ab RandiTV ka efficiency itna bar gaya ki agla din do pohar 12 bajne se pahle IIM ka tin brilliant student RandiTV mein as a consultant join kar liya. 

Evening mein unke saath Dariji ka meeting hua. 

Sir ne bahut kuch inspiration wala baate kara aur aise inspire kar diya ki un tin banda se jo sabse chota tha uoh rone laga aur bola

"sir aap chup chap so jao. Hum akela sab kuch dekh lenge"

Dariwala Roy sir bhi unka ye enthusiasm mein bohut impressed ho gaya. 

Us raat uoh meeting mein bahut saare discussion hua aur last mein ek sabse important decision liya giya. 

Dari Roy ne bola, "dekho boss, kyunki Rubbish ji ko dance mein bhejne ka decision sirf meray tha… isliye is award ka main ekela-y haqdar hoon… isliye jab ye award dene ka time aayega tab stage mein koyi nahi hona chaiye… ye award mein khud aapna hatho mein leke aapne gale mein lagaunga…"

yeah sunke woh sabse enthusiasm wala ladka dance karne laga aur bola,

"sir aise tara individualism agar Modiji ne aapna sare officer ko hone ke liye jab bolenge tabhi hamara India Viswaguru ban sakte hain… Lekin sir kya kare, Modiji aise gawar banda hain… kabhi aisa sochtay nahi… aisa unique sochne ke liye sir foreign mein parna jorori hain..  Aur aise decison leneka power abhi India mein agar kisi mein hai to woh hain hamara Raga."

Dari Roy ne us din us banda ko aapna ghar mein dinner mein special guest banake bula liya aur bola,

"tumhi ho desh ka future… aur tum jaise banda hain isliye ye desh surakshit hain… aur bola us special day mein function ka end mein uoh kuch bolne ke liye ek speech tayar kare... "  

Aur is taraf Arnabji pura din gala phar phar ke chitkaar karne laga, "aare ye burwak log… usko aane do… kuch nahin hone wala hain… main usko pahle din-i aapna debate mein bula lunga aur mujhe yekin koro, uoh debate khatam hone ke baad studio se bahar nikal ke uoh duwara suicide kar lega"

lekin Arnabji ka awaz Rubbish ji ka dance ka music mein dab gaya…

Aur ek din woh saachmuch aa gaya...   

Uss special day mein Kolkata ka saare ke saare hawker subha hotey dhire dhire cinema hall ke aju baju mein aapna sthaan lene laga

Aur matlab sab log sochne laga uoh wala Azad sala pagal tha. Isliye jaldi mar gaya aur kuch nahin kar paya, aisey suicide kar liya tha … lekin hume pura yekin hain ki yeah Mara hua Azad desh mein jarur kuch revolution layega... 

Aur jab uoh release hooa, tab ye jo ladka, jo HTML training se aapna din mein 5 crore kamanewala leader banne ka sapna dekha tha, uoh life mein thoda settle to ho gaya, aur kamane shuru kar diya tha.

Usme leadership ka quality dhire dhire dekhne laga. aur woh aapna jindegi ka pahela aur sabse bara decision liye ki woh  iPhone 12 na lekar iPhone13 liya. uska pahela month ka salaray mein kharida huan naya iPhone mein Jio ka Hotstar lagake aapne saare Whi*at Jr. ka dosto ke saath whiskey pite pite dekhne laga ,

”Main Mara Hua Azad Hoon”

aur jab nesha char giya to bol utha ,”yaar life mein kuch karna parega… iss desh mein revolution lana parega… ” 

Uska bad dhire dhire whiskey ka asar hone laga, woh aapna talmalata hua paer leke ac kamre me bistar pe ye sochte sochte so gaya, 

“Main kab aur kaise revolution laoonga iss desh mein…”  

aur gahera need mein chala gaya… 

And the tradition goes on….

Disclaimer: All characters in this write-up are imaginary. 

Please don’t try to find out any similarities with any real person.


No comments:

Post a Comment